Chaliye aapse bhi rooh-b-rooh holiye hum,
kisse kaise bhi rahe ho chahe.
Vadiyon ki talaash mein, ghum se reh gaye hum,
Dedaar jo huya unka toh jannat nazron mein sama gaya.
Hum majboor the magar bekasoor the? nehi,
Magar mekhaane se doh jaam churana bhi koi gunaah hai bhala?
Waqt badalta raha, lau jalti rahi,
khudi se yun ruhbarooh huye hum,
Aur shaam bhi dhalti rahi.
Fizayein kuch latifa sa bayan kar rahi thi,
Nigahon se. chalak ke, ashk paimane ko bhar rahi thi.
Ab waqt ko yahin ruk jaane do,
Alfaazon par aitbaar hone ko hai.
Ab dil hum hatheli par rakh chuke sanam,
Hume toh talap mohobatt ki hone ko hai.